Shama aur Parwana shayari



______***_____****_______****______***___


Shama pe chala mukadma Parwane ke khoon ka,
poocha gaya Shama se, kyu kiya khoon masoom ka?
Shama boli “Parwana jawani ke nashe me jhoom raha tha,
aur mere aage peeche ghoom raha tha…
khoon na karthi tho kya karthi, bhari mehefil me wo mujhe choom raha tha”.


______***_____****_______****______***___




______***_____****_______****______***___



ShamA O ParwanA
ParwanA tUjh Say Karta hAi Aey ShamA Pyar kyOn
Yeh Jaan e Be-Qarar hAi tUjh Par NiSaaR kyOn
Semaab Waar Rakhtii hAi Teri Adda Issay
Aadaab e IShq tOo Nay Sikhaye hAin Kya Issay ?
Karta hAi Yeh Tawaaf Teri jAlwa-Gaah Ka
PhOonka hAi Kya Teri Barq e NiGaah Ka ?
Aazaar e mOat Mein Isay Aaraam e jAan hAi Kya?
ShOlay Mein Teri ZindGii e Jaa-VidaaN hAi Kya?
Gham e Khana e Jhaan Mein jO Teri Ziya Na hO
Is Tifna Dil Ka Nakhal e tAmAnA Harra Na hO
GiRna Teray HazOor Mein Is Kii Namaaz hAi
Nanhay Say Dil Mein Lazat e Soz o Gudaaz hAi
Kuch Is Mein jOsh e AaShiq e hUsan e Qadeem hAi
ChOta Sa tOor tOo, Yeh Zara Sa Kaleem hAi

______***_____****_______****______***___




______***_____****_______****______***___



Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne,
Khud bula ker phir sataya hai kisi ne,
Jab tak jali hai shama jalta raha parwana,
Kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne



Armaan mere raiza raiza hogaye hain,
Yun kil k aangan say giraya hai kisi ne,
Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga,
Dil is tarah say aaj jalaya hai kisi ne,


Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko,
Is tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne,
Sangdil jo tha aaj woh bhi ro parha
Us ko bhi tarpaya hai kisi ne




______***_____****_______****______***___




                                               ______***_____****_______****______***___